Mahak uthunge yeh lamhe pyar se
Agar sanson me apni panah de tu ♥
Ban jayegi meri zindagi kuch yu
Agar din raat ankhon ka sama tu ♥
Kiya hai intzaar tera sadiyon se
Meri jaan ab aur na mujhe Azma tu ♥
Ab chu Na sake Phir yeh duriyan
Baahon Mein Mujhe ab sama le tu ♥
Armaan hai ki aa ja agosh me tu
Kabhi mujhse dur ab naa jaa tu ♥
Jindagi hai virani si tere bagair
Is dard ae dil ki ek hi dawa tu ♥
Zindagi me nahi koi hasrat tere bin
Aj se tu hi ibadat aur humsafar tu ♥