Purana samay ja raha hai aur naya samay aa raha hai
Har koi apni tarah se gum aur khushiya mana raha hai ♥
Humare liye na to disha badli hai aur na badle haalaat
Jahaan kal khade the aj bhi wahi se raasta jaa raha hai ♥
Palat ke dekh raha hu jo peeche chuut gaya hai
Kya pata wahi samay fir se saamne aa raha hai ♥
Kahte hai ki kismat ke sahare nhi rahna chahiye
Par haatho ki lakire bhi to bhagya hi banaa raha hai ♥
Ishwar kahte hai ki buraa samay kabhi to chala hi jayega
Par har bure samay se bhi to wahi milwaa raha hai ♥
Hum bhi khush rahe aur sab log bhi khush rahe
Yeh samay bus itna sa sabak seekha raha hai ♥
Aakhir kab tak ache bure ke liye rote rahenge
Jaane kitna samay to bus yeh hi sochne me jaa raha hai ♥